CHARACTER: Priya (22)
SCENE: Police Station
EMOTION: Hurt → Emotional Breakdown → Anger → Defiance
PRIYA
(dard bhari hui awaaz mein)
Ismein meri kya galti hai, Sir?
Maine chhote kapde pehne the…
Ladke bhi toh apni soch badal sakte hain na?
Kab tak ladkiyan jurm sahti rahengi?
Har baar ladkiyon ko hi kyun sunne ko milta hai —
“Tumhare kapde chhote the.”
“Tum bahar kyun gayi thi?”
“Tum raat ko akeli kyun thi?”
Lekin ladkon ko koi kyun nahi samjhata,
Koi unse kyun nahi poochta ki…
tumne uski marzi ke bina use haath kyun lagaya?
(aankhon mein aansu, awaaz tootne lagti hai)
Sir… main bata rahi hoon…
Agar aisa hi raha na… toh bahut jald
ladkiyon ke liye jeena bhi mushkil ho jaayega.
(gussa badhta hai)
Aur aap phir bhi yahi bolenge na?
Ki tumhe saans nahi leni chahiye thi…
Tumne saans kyun li?
———-