Bhaad Mein Jao
BACKGROUND STORY
Ek ladka kai saalon se UPSC Civil Services Exam ki preparation kar raha hai. Har attempt mein woh kisi na kisi stage par fail ho jaata hai. Uski girlfriend chahti hai ki woh government officer bane, warna uske gharwale unki shaadi ke liye ready nahi honge.
Kai attempts ke baad, aaj woh completely exhausted hai. Woh apni girlfriend se phone par baat kar raha hai.
Bhaad Mein Jao
CHARACTER: Male, 25–28
EMOTION: Frustration • Exhaustion • Anger • Helplessness
SETTING: Small room / hostel room – Night
DURATION: 1–1.5 minutes
INT. HOSTEL ROOM – NIGHT
Books aur notes poore room mein bikhre hue hain. Ladka ek kitab band karta hai. Kuch seconds tak chup baitha rehta hai.
Phone haath mein hai.
BOY
(frustrated, almost breaking down)
Nahi ho raha yaar mujhse… Kya karun?
Din-raat ek kar diya hai padhai ke liye.
Kabhi-kabhi toh ye bhi yaad nahi rehta ki…
maine khana khaya hai ya nahi.
He looks at the untouched food beside him.
BOY
Aur ab toh…
khana bhi kaam lagne laga hai.
Sochta hoon…
“Yaar, abhi khana bhi khana padega…”
He lets out a frustrated laugh.
BOY
(angrily)
Aur kitni mehnat karun? Har baar…
ek number se reh jaata hoon.
Prelims nikalta hai… toh Mains mein reh jaata hoon.
Mains nikalta hai… toh interview mein kuch kami reh jaati hai.
He gets up and starts pacing around the room.
BOY
(voice rising)
Main bhi insaan hoon yaar! Thak gaya hoon…
Waise bhi kya kami hai, papa ka business hai apna
A long pause.
BOY
(quietly)
Main jaa raha hoon ab gaon. Family business sambhal lunga.
Padhai ke peeche… marna thodi na hai mujhe.
Aur tum…
tum bhi kab tak wait karogi?
Agar tum apne gharwalon ko mana sakti ho… toh mana lo.
(beat)
Nahi mana sakti…
toh…
BHAAD MEIN JAOO
————————-

