Bindusara - Audition practice for Aditya Dhar's new movie
Character: Male, 18–25
Duration: 60–90 seconds
Emotion: Frustration → Pride
Tum sabki nazron mein main Chandragupta Maurya ka putra hoon.
Main jahan bhi jaata hoon, mujhe mere pita k naam se hi jaana jata hai.
Mujhe unki veerta k kisse sunaye jaate hai.
Lekin, kisi ne kabhi mujhse poocha ki main kya chahta hoon? Mere andar bhi kuch kar dikhane ka sapna hai.
Main apne pita ka apmaan nahi kar rha, mujhe un par bahut garv hai, kyuki
Unhone apne samarthya se es samrajya ki neev rakhi.
Lekin kab tak main unki parchaai bankar jeeta rahunga?
Kya mera apna koi astitva nahi, kya meri apni koi pehchaan nahi?
Main bhi yudh karna janta hoon, or sabse badi baat, main mrityu se nahi darta.
Mujhe singhasan virasat mein mil sakta hai, lekin uske yogya hone ka pramaan mujhe swayam dena hoga.
Main Chandragupta Maurya ka putra jarur hoon, lekin meri pehchan mere pita k naam se nahi, mere karmon se hogi.
Ek din itihas mujhe kisi ka putra nahin, samrat Bindusara kehkar pukarega
—-

