Jamvant - Audition Practice

Character: Male, 45-60 | Heavy Deep/Bass Voice

Duration: 30–40 seconds

Emotion: Calm


Hanuman, Kya hua? Itni jaldi haar maan li?

कवन सो काज कठिन जग माहीं। जो नहिं होइ तात तुम्ह पाहीं॥
राम काज लगि तव अवतारा। सुनतहिं भयउ पर्बताकारा॥

Hey Hanuman, tum apni shakti ko kyun bhool baithe ho?

Tum woh ho jisne bachpan mein Surya ko phal samajhkar nigalne k liye udaan bhari thi.

Tum pavanputra ho, tumhare andar apar bal, buddhi aur sahas hai.

Jis kaam ko puri sena asambhav samajh rahi hai, usey tum akele kar sakte ho.

Utho Hanuman, Tumhe Shri Ram ka karya poora karna hai

Hanuman ne vishal roop dharan kiya aur garajne lage.

Hanuman tumhare alawa kisi me itna samarthya nahin hai ki samundar ko langh de.

Tumhe es karya k liye chuna gya hai

to tumhe hi ye karna hoga

jao Hanuman

Scroll to Top