We Used Protection
Character: Boy (20–25 years)
Duration: 1 Minute
Emotion: Shocked → Confused → Angry → Psycho
Pacing: Slow at first, fast during the outburst, slow and disturbing at the end.
Boy apni girlfriend ki pregnancy ki baat sunkar shock mein hai. Woh kuch seconds tak use dekhta rehta hai.
BOY
What? Pregnant?
Nahi… nahi, ye kaise ho sakta hai?
WE USED PROTECTION, FUCK! Toh ye sab kaise ho gaya?
Halki si nervous laugh, phir achanak serious.
Ek minute, tum khush ho? Seriously? Tumhe lag raha hai ki ye koi good news hai?
Chaar saal se hum saath hain, aur tumhe lagta hai main abhi bachche ke liye ready hoon?
Nahi, nahi, nahi! Kuch toh gadbad hai, Maine protection use kiya tha, Main koi bewakoof nahi hoon!
Uske kareeb aakar, shak bhari nazron se.
Ye bachcha mera nahi hai.
Samjhi tum? Mera nahi hai
Tumne mujhe cheat kiya hai, hai na? Aur ab is bachche ka naam mere saath jod rahi ho?
Achanak rukta hai. Gusse mein halki hansi.
Wow, fucking wow.
Chaar saal, chaar saal tak main tum par bharosa karta raha.
Aur tumne mujhe kya diya?
Aankhon mein shak aur gussa.
Nahi, main aise nahi phasne wala.
Tum mujhe sach bataogi chahe mujhe woh sach sunna pasand ho ya nahi.

