Pyar Ka Ehsaas

Character: Priya, 28–32 years

Emotion: Calm → Vulnerable → Guilty → Deeply Emotional

PRIYA:

Haan, Tumhe mehsoos hua?

Ye hota hai emotion.

Kisi ne tumhe kabhi bataya hai ki mere husband, Rohit ki death kaise hui thi?

Hamari shaadi ko teen saal aur paanch din hue the, aur main usse bahut pyaar karti thi.

Lekin pichhle kuch mahino se, mera sex karne ka bilkul mann nahi karta tha.

Mujhe lagta tha ki hum dono kitne alag hain.

Main khud bhi depression se guzar rahi thi.

Kuch problems meri apni thi, aur kuch ye ki woh chahta tha ki hamare bachche hon.

Lekin jab mujhe khud ko sambhalna mushkil lagta tha, toh main ek bachche ki zimmedari kaise leti?

Mujhe nahi lagta ki is wajah se main koi mujrim ban gayi thi.

(pause, nazrein neeche karti hai)

Khair, ek raat dinner ke baad, woh mere liye lingerie khareedne gaya tha

 Chandigarh ke Elante Mall mein.

Shayad woh hamare beech sab kuch pehle jaisa karna chahta tha.

Lekin wapas aate waqt, usne highway par ek aadmi ki gaadi dekhi,

jiska tyre puncture ho gaya tha.

Woh uski madad karne ke liye ruk gaya.

Aur tabhi… ek gaadi ne use takkar maar di.

Woh wahin mar gaya.

(long pause, aankhon mein aansu bharte hain)

Aur pata hai…

Jo gift woh mere liye lekar aa raha tha na…

Woh ab bhi uski gaadi ki front seat par pada tha.

(dheere se, bhari awaaz mein)

Ab samajh aaya… ehsaas kise kehte hain?

Scroll to Top