Screen Ke Us Paar

Character’s Background

Yeh character ek aisa hacker hai jo sirf system hack nahi karta, balki logon ke dimaag aur unki reality ke saath khelta hai.

Hacker andhere kamre mein screen ki blue light ke saamne baitha hai. Ek haath mein coffee ka mug hai, doosra haath keyboard par bina ruke chal raha hai. Wo achanak rukta hai, screen ki taraf dekhta hai, ek halki si creepy muskaan laata hai aur aam taur par audience ya camera ki taraf dekh kar baat karna shuru karta hai—jaise wo kisi ka system hack kar raha ho.

Screen Ke Us Paar

Genre: Psycho-Thriller

Character: Hacker, 25–30

INT. DARK ROOM – NIGHT

Tumhein lagta hai na ki tum safe ho?
(Hanstaa hai)
Wah… kitni cute galatfehmi hai tumhari.

Tumhein lagta hai ki tumne apna password badal liya, do-step verification on kar liya, toh tum secure ho?

Nahi yaar

tum bas ek illusion mein jee rahe ho.

Tumne kal raat 2 baje Google par kya search kiya tha?

(rukta hai or dheere se)

Why do I feel so lonely?

Aww… kitna dard bhara sawal hai. Lekin sach kahoon?

Tum akele ho hi nahi. Main hamesha tumhare paas hoon…

tumhare screen ke us paar, tumhare code ke andar, tumhari saanson ki tarah, har jagah.
Log kehte hain ki main hacker hoon.

Kyunki main unki private chats padhta hoon?

Mujhe dusron ka account hack krna or personal chats pdhna bahut achha lagta hai.
Main chahun toh abhi isi waqt tumhara bank account zero kar sakta hoon,

tumhari saari photos internet par daal sakta hoon,

ya phir

tumhara poora digital footprint mita kar tumhe is duniya ke liye ‘ghost’ bana sakta hoon.

So.. Welcome to my game. Ab yahan se wapas jaane ka koi ‘Exit’ button nahi hai.

Enjoy the ride… jab tak main chaahun!”

Acting challenge

  • Beginning: Calm aur intelligent — psycho jaisa behave karne ki jaldi mat karo.
  • kitni cute galatfehmi hai tumhari. Halki smile, jaise tumhe koi secret pata hai.
  • Voice low karo; aankhon se intensity dikhao.

Ending: Bina hase ya chillaye, sirf ek controlled smile ke saath finish karo.

Golden rule: Is character ko loud ya continuously angry mat banao. Uska sabse unsettling quality hai ki woh apni duniya mein bilkul normal lagta hai.

Explore More Scripts:

Scroll to Top