Sirf 3 Phool
Character: Horticulture Student
Duration: 1 minute
Emotions: Calm → Frustrated → Angry → Fearful → Calm but frustrated
EXT. BAGICHA – DAY
Ladka bagiche mein teen phoolon ke samples lekar khada hai. Malik use daant raha hai. Ladka calmly explain karta hai.
STUDENT (calmly):
Arre, main bagiche mein ek sample lene hi toh aaya tha.
Maine kaunsa aapka poora bagicha ukhaad diya?
Uncle, woh kya hai na, humein university se bheja hai
kuch phoolon ke samples lene ke liye, jo hamari padhai
ke kaam aayenge.
Aur ye phool sirf aapke garden mein milte hain, isliye sirf teen phool le rahe hain.
Malik ki daant sunkar ladka irritate hone lagta hai
Aap samajhte kyun nahi? Maine phool nahi tode… sirf samples
ke liye, liye hain!
Dimaag naam ki cheez nahi hai kya? Anpadh kahin ke! Pata nahi
kahan-kahan se aa jaate hain dimaag khane!
Malik use maarne ke liye aage badhta hai. Ladka darr kar peeche hatne lagta hai.
Uncle ji… mujhe maaf kar do. Mujhse galti ho gayi.
Dusri baar nahi aaunga. Na phool todunga… aur na
kisi aur ko aane dunga.
Ladka gusse aur frustration ko control karte hue wahan se chala jaata hai.

